| « September 2008 » | ||||||
|---|---|---|---|---|---|---|
| S | M | T | W | T | F | S |
| 1 | 2 | 3 | 4 | 5 | 6 | |
| 7 | 8 | 9 | 10 | 11 | 12 | 13 |
| 14 | 15 | 16 | 17 | 18 | 19 | 20 |
| 21 | 22 | 23 | 24 | 25 | 26 | 27 |
| 28 | 29 | 30 | ||||
Recently by Izzah
bay zubaan jab hay ye dil to, izhaar main inkasaar kaisa
hamdam gar ho hamsafar to, faaslon ka shumaar kaisa
qurbat ho jab mehboob ki to, bahaar ka intazaar kaisa
zulmat ki tarikion main, rang-e-hinna ka intazaar kaisa
ehad-o-wafa ki kia zarorat, aseer-e-zulf ka faraar kaisa
jab jaan he nisaar ho to, wahaan alfaaz ka israar kaisa
nazraana-e-muhabbat main, hisaab aur shumaar kaisa
khushi-o-gham bay maani, qaraar-o-ghamgusaar kaisa
sawaal kaisa, jawaab kaisa, ho inkaar aur iqraar kaisa
anmoal shey hay piaar to phir, hussan ka bazaar kaisa
gar hoon main dewana to phir, soach ka fishaar kaisa
naara-e-mastana lagga kar, fikkar ka ye izhaar kaisa
add to my favorite ilogs
flag objectionable content
'hamdam gar ho hamsafar to, faaslon ka shumaar kaisa'
to bhabi ji. To make up for the other poem she worries about.
you mean goonga?
Izzah
- Interacts: 7
- iLogs: 758
- Gallery: 25
- Page views: 110581
- Last visitor: guest
- Member since: Apr 7 2003
- Last signin: Sep 1 2008
- Send a message
- Add as friend
- Add to ignore list
- Add to block list


